khuda kare to kisi raaz ka amin na bane guman guman hi rahe aur kabhi yaqin na bane tujhe ye shauq ki parwaz ho buland apni mujhe ye dar ki kabhi aasman zamin na bane ye baat aur hai koshish hazar ki hum ne hamare sher tumhaari tarah hasin na bane ye alamiya hai hamara ki hum ba-har-surat tamasha-gah rahe aur tamash-bin na bane ajab wo ghurbat-e-diwar-o-bar-o-dar thi ki hum makan mein rahe lekin kabhi makin na bane uthao hath dua ko to ehtiyat rahe ye hath uth ke kabhi nang-e-astin na bane