KHwab aankhon mein sajaana bhi zaruri Thahra

khwab aankhon mein sajaana bhi zaruri thahra
zinda rahne ka bahana bhi zaruri thahra

us ko ehsas-e-pazirai dilane ke liye
dar-o-diwar sajaana bhi zaruri thahra

jo sitam us ne kiye us ko jatane ke liye
aaina us ko dikhana bhi zaruri thahra

teri yaaden jo pareshan kiye rakhti hain
is liye tujh ko bhulana bhi zaruri thahra

mahw ho jae mere zehn se bhi us ki shabih
us ki taswir hatana bhi zaruri thahra

ye hai dastur-e-mohabbat ki hamesha jis mein
wasl ke sath bichhadna bhi zaruri thahra

apne chehre pe saja li hai ye be-kaif hansi
dard ko dil mein chhupana bhi zaruri thahra

rasm-e-ulfat ko nibhana hai 'sabiha' yun bhi
ruth jae to manana bhi zaruri thahra


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close