KHwab nahin hai sannaTa hai lekin hai tabir bahut

khwab nahin hai sannata hai lekin hai tabir bahut
sachchi baaten kam kam hain aur jhut ki hai tashhir bahut

kya kya chehre hain aankhon mein shaklen kya kya zehn mein hain
yaaden goya album hain aur album mein taswir bahut

qissa hai bas do-pal ka ye milne aur bichhadne ka
karne wale ishq ki yun to karte hain tafsir bahut

hum to sahab-e-ahl-e-junun hain duniya khel-tamasha hai
ahl-e-khirad ki khatir hogi duniya ki zanjir bahut

sari shaklen dhundli dhundli mubham sa hai manzar bhi
khwab ki kachchi buniyaadon par karni hai tamir bahut

qissa ye mahdud na tha kuchh honton ki khamoshi tak
kahne ko to kahti thi un aankhon ki tahrir bahut


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close