khwabon ka intikhab badalta dikhai de kash ab ki ikhtiyar sanwarta dikhai de sayyaad ke hunar ki sataish nahin ho ab jis ko hai par nasib wo udta dikhai de itni na intishaar ki hiddat ho ru-ba-ru insan gham-e-hayat mein jalta dikhai de kya wo hisab dars mein rakkhega kaenat jis ka yahan wajud shikasta dikhai de