kis pe qabu jo tujhi pe nahin qabu apna

kis pe qabu jo tujhi pe nahin qabu apna
kis se ummid hamein jab na hua tu apna

jam-e-mai dekh ke jata raha qabu apna
ladkhadata hun pakad le koi bazu apna

nikhat-e-gul bahut itraati hui phirti hai
wo kahin khol bhi den turra-e-gesu apna

us ne phir kar bhi na dekha ki ye hai kaun bala
hum ko tha zom ki chal jaega jadu apna

jis ko samjhe ho wahi chiz nahin muddat se
hum dikha denge kabhi chir ke pahlu apna

par-e-parwaz nikalne de qafas mein sayyaad
kaam dega yahi tuta hua bazu apna

mil gae khak mein dar par tere itna baithe
is riyazat pe bhi ab tak na hua tu apna

gham nahin jam-e-tilakar utha rakh saqi
kya gharaz hum ko salamat rahe chullu apna

chaukdi bhul ke munh takte hain mujh wahshi ke
aake is panw pe sar rakhte hain aahu apna

kaun ai tul-e-shab-e-gham tera jhagda rakkhe
aaj qissa hi kiye dete hain yaksu apna

nikhat-e-khuld-e-barin phail gai koson tak
wo naha kar jo sukhane lage gesu apna

lillahil-hamd kudurat nahin rahne pati
munh dhula deta hai har subh ko aansu apna

shadi o gham ke rahenge yahi ragde jhagde
qissa jis waqt talak hoga na yaksu apna

gham mein parwana-e-marhum ke thamte nahin ashk
shama ai shama zara dekh to munh tu apna

be-adab mushaf-e-rukhsar pe jhuk padte hain
rakhiye shanon pe zara gher ke gesu apna

sina-e-tang se ghabra ke gaya dil to gaya
munh dikhae na mujhe ab ye siyah-ru apna

phansne wala tha phansa aa ke teri zulfon mein dil
ba-khuda is mein nahin jurm sar-e-mu apna

sham se jeb mein ek talkh dawa rakkhi hai
aaj qissa hi kiye dete hain yaksu apna

wahm o idrak o khayalat o dil o khwahish-e-dil
sab to apne hain magar kyun nahin qabu apna

'shad' samjhate hain kyun ghair liya kya un ka
chashm-e-tar apni hai jaan apni hai aansu apna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close