kisi bekas ko ai bedad gar mara to kya mara jo aap hi mar raha ho us ko gar mara to kya mara na mara aap ko jo khak ho iksir ban jata agar pare ko ai iksir gar mara to kya mara bade muzi ko mara nafs-e-ammara ko gar mara nahang o azhdaha o sher-e-nar mara to kya mara khata to dil ki thi qabil bahut si mar khane ke teri zulfon ne mushkin bandh kar mara to kya mara nahin wo qaul ka sachcha hamesha qaul de de kar jo us ne hath mere hath par mara to kya mara tufang o tir to zahir na tha kuchh pas qatil ke ilahi us ne dil ko tak kar mara to kya mara hansi ke sath yan rona hai misl-e-qulqul-e-mina kisi ne qahqaha ai be-khabar mara to kya mara mere aansu hamesha hain ba-rang-e-lal-e-gharq-e-khun jo ghota aab mein tu ne guhar mara to kya mara jigar dil donon pahlu mein hain zakhmi us ne kya jaane idhar mara to kya mara udhar mara to kya mara gaya shaitan mara ek sajda ke na karne mein agar lakhon baras sajde mein sar mara to kya mara dil-e-sangin-e-khusrau par bhi zarb ai kohkan pahunchi agar tesha sar-e-kohsar par mara to kya mara dil-e-bad-khwah mein tha marna ya chashm-e-bad-bin mein falak par 'zauq' tir-e-ah gar mara to kya mara
Please share if you liked this!!!