kisi ki mehrbani ho gai hai tumhein jo bad-gumani ho gai hai qayamat ki nishani ho gai hai jidhar dekho girani ho gai hai khushi hone lagi hai hadson se tabiat imtihani ho gai hai mohabbat jis jagah thi raqs-farma haweli wo purani ho gai hai jise dekho wahi sahma hua hai agarche rut suhani ho gai hai hamara ghar jala kar bijliyon ko mayassar shadmani ho gai hai kisi ki yaad ka aalam na puchho sharik-e-zindagani ho gai hai jise 'mahmud' sunna chahte the mukammal wo kahani ho gai hai