kisi qalam se kisi ki zaban se chalta hun

kisi qalam se kisi ki zaban se chalta hun
main tir kis ka hun kis ki kaman se chalta hun

main thak gaya hun thahar kar kisi samundar sa
ba-rang-e-abr tere aastan se chalta hun

tu chhod dega adhura mujhe kahani mein
isi liye main teri dastan se chalta hun

jo mere sine ke baen taraf dhadakta hai
usi ke naqsh-e-qadam par wahan se chalta hun

yahan se chalne ka matlab to aur hai lekin
main thak chuka hun meri jaan yahan se chalta hun

ab agar chahe to logon ke beach le aana
main aaj apne tere darmiyan se chalta hun

na jaane kaise safar mein hun mubtala 'fayyaz'
wahin pe aata hun wapas jahan se chalta hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close