koi dard hai jo abhi dawa nahin ho saka

koi dard hai jo abhi dawa nahin ho saka
wo bichhad gaya hai magar juda nahin ho saka

koi hai khalish jo khatak rahi hai abhi mujhe
koi sher hai jo abhi bapa nahin ho saka

wo mile agar to use kahun ai gulab shakhs
koi tujh sa kya teri khak-e-pa nahin ho saka

tere baad phir meri mausamon se bani nahin
tere baad main kabhi phir hara nahin ho saka

sar-e-bazm hain yahi tazkire ki bura hun main
mera jurm hai ki main bewafa nahin ho saka

isi baat par meri doston se hai dushmani
main amir-e-shahr ka ham-nawa nahin ho saka

kisi aur shab main sunaunga ye ghazal tumhein
abhi aankh nam abhi dil dua nahin ho saka

tere ishq mein koi jaan bhi le to bhi jaan-e-jaan
main yahi kahunga ki haq ada nahin ho saka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close