koi hunar to meri chashm-e-ashk-bar mein hai

koi hunar to meri chashm-e-ashk-bar mein hai
ki aaj bhi wo kisi khwab ke khumar mein hai

kisi bahaar ka manzar hai chashm-e-viran mein
kisi gulab ki khushbu dil-e-figar mein hai

ajab taqaza hai mujh se juda na hone ka
ki jaise kaun-o-makan mere ikhtiyar mein hai

nishan-e-rah bhi thahrega barishon ke baad
abhi ye naqsh kisi rah ke ghubar mein hai

ufuq ke aks kisi aaine mein kya simtin
ki shauq-e-jalwa abhi apne intishaar mein hai

makan ki koi khabar la-makan ko kaise ho
safir-e-ruh abhi jism ke hisar mein hai

kamal-e-zabt ki saat kahin guzar bhi ja
sitara-e-shab-e-gham mere intizar mein hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close