koi nazar kisi aalam mein kaamyab nahin

koi nazar kisi aalam mein kaamyab nahin
tilism-e-surat-o-mani tera jawab nahin

nafas nafas mein agar zauq-e-inqalab nahin
fareb-e-masti-e-pindar hai shabab nahin

ba-qadr-e-zarf talabgar hai uruj-o-zawal
zamin pe hai wahi zarra jo aaftab nahin

hazar sal bhi ghaflat ke de nahin sakte
us ek lamha ki qimat jo sirf khwab nahin

hujum-e-shauq mein koi nazar samajh na saki
shuur-e-did ki talim thi hijab nahin

bara-e-afw gunahgar ki taraf jo uthe
us ek nigah-e-karam ka koi jawab nahin

dilon ko sinon mein dhadka ke rah gaya hai 'kaif'
wo inqalab ka dhoka tha inqalab nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close