ku-e-jaanan mein ada dekhiye diwanon ki dhajjiyan bantte phirte hain garebanon ki khak udti hai faza mein yunhi parwanon ki kaun leta hai khabar sokhta-samanon ki husn kya shai hai faqat zauq-e-nazar ki taskin ishq kya chiz hai takhliq hai armanon ki aap rukh sail-e-hawadis ka badal deta hai aasman dekh ke gardish mere paimanon ki aks gulshan pe bahaaron ka pada tha lekin khinch gai phul pe taswir bayabanon ki aaj sahil pe pahunch kar hi rahegi kashti aaj takkar hai mere azm se tufanon ki hashr ke din wo khata-waron pe rahmat hogi aankh khul jaegi jannat ke nigahbanon ki ibn-e-adam ne 'falak' hosh sambhaala jis dam sab se pahle rakhi buniyaad sanam-khanon ki