kuchh is tarah se basar ki hai zindagi main ne ghamon ki chhanw mein dhundi hai sarkhushi main ne jo meri zat ka sab se bada mukhalif tha mata-e-umr usi ko hi bakhsh di hum ne mujhe nikal diya us ne dil ki basti se ki baat dil ki sar-e-bazm kyun kahi main ne husul-e-zar ka jo mauqa kabhi mila mujh ko ganwa diya hai use kar ke shairi main ne har ek shakhs meri dosti ka talib tha har ek shakhs se li mol dushmani main ne ye mera nam 'munawar' zarur hai lekin kabhi na pai qarib apne raushni main ne