kya jaano jo asar hai dam-e-shoala-tab mein

kya jaano jo asar hai dam-e-shoala-tab mein
ye wo hai barq aag laga de naqab mein

haal is nigah ka us ke sarape mein kya kahun
mor-e-zaif phans gai ja shahd-e-nab mein

zikr-e-wafa wo sunte hi majlis se uth gae
kuchh guftugu hi thik na thi aise bab mein

kya puchhte ho chaara-e-hu az-khwesh-e-raftagan
so ja se chaak jama hai sozan khullab mein

aawaz-e-sur tere shahidon ko roz-e-hashr
lagti thi ek bhanak si to kanon ko khwab mein

jo dekhte hi us se ye guzra kabhu nahin
yaqub ke khayal o zulekha ke khwab mein

har har roen se khirqa ke mere hai khun-chakan
ghote to sau diye use zamzam ke aab mein

is chashm-e-ashk-bar ke kyunkar ho samne
rone ka madda hi nahin hai sahab mein

qismat to dekh kholi girah kuchh to rah gae
nakhun hamare tut ke band-e-naqab mein

har-waqt aarzu-e-azab-e-jahim hai
hathon se hijr ke hun main kya kya azab mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close