kya karen gulshan pe joban zer-e-dam aaya to kya kya tawaqqo inqalab-e-nau nizam aaya to kya ab ye tasir-e-mohabbat par qasida kya zarur jazba-e-be-tabi-e-dil tha jo kaam aaya to kya aankh se dil ki taraf daude wo mai pite hain hum hum wo mai-kash hain ki saqi le ke jam aaya to kya zoaf apna todne deta hai zanjiren kahin hum mein dam kya hai jo waqt-e-intiqam aaya to kya main samajhta hun use aaghaz-e-mustaqbil-faza aap kahte hain koi baala-e-baam aaya to kya ab wo izhaar-e-haqiqat ke liye darte nahin ab wo kahte hain khat us ka mere nam aaya to kya hai to na-ehsan-shanasi 'shad' lekin kya karun kaam ban sakta tha yun bhi koi kaam aaya to kya