kyun asir-e-gesu-e-KHam-dar-e-qatil ho gaya

kyun asir-e-gesu-e-kham-dar-e-qatil ho gaya
hae kya baithe-bithae tujh ko ai dil ho gaya

koi nalan koi giryan koi bismil ho gaya
us ke uthte hi digar-gun rang-e-mahfil ho gaya

intizar us gul ka is darja kya gulzar mein
nur aakhir dida-e-nargis ka zail ho gaya

us ne talwaren lagain aise kuchh andaz se
dil ka har arman fida-e-dast-e-qatil ho gaya

qais-e-majnun ka tasawwur badh gaya jab najd mein
har bagula dasht ka laila-e-mahmil ho gaya

ye bhi qaidi ho gaya aakhir kamand-e-zulf ka
le asiron mein tere 'azad' shamil ho gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close