kyun malamat ka hadaf gardish-e-paimana bane

kyun malamat ka hadaf gardish-e-paimana bane
laghzish-e-pa se meri kaba-o-but-khana bane

aql ke bas ki nahin bakhiya-giri phulon ki
dard jis ko ho gulistan ka wo diwana bane

lab-e-hikmat se shab-o-roz ujale tapke
tira-zehni ka magar ye bhi mudawa na bane

be-sabab shauq nahin mail-e-afsana-gari
har haqiqat ki ye khwahish hai ki afsana bane

rukh-e-jaanan ke tasawwur hi mein raaten guzrin
chand-tare dil-e-mahjur ki duniya na bane

aashna fasl-e-bahaaran hi nahin hai shayad
kya kahin phul ki kyun sabza-e-begana bane

main to hun sham-sifat-soz sarapa 'shibli'
jis ko jalna nahin aata ho wo parwana bane


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close