laga liya tha gale usne ba-wafa kah kar

laga liya tha gale us ne ba-wafa kah kar
hamin ne tal diya harf-e-ashna kah kar

kaf-e-talab pe kabhi to mere huzur likho
hina ke naqsh ko tahrir-e-khun-baha kah kar

kuchh aisi shakl mujhe ru-ba-ru dikhai di
nazar palat gai aaina-e-riya kah kar

uda ke le gai mauj-e-saba na jaane kahan
tumhaare jism ki khushbu ko aashna kah kar

fasil-e-waqt se aazad ho ke meri zaban
qubul-e-am hui dasht ki sada kah kar

thin jin mein dafn hazaron qadam ki aawazen
mita diya tere talwe ne naqsh-e-pa kah kar

main apni waza pe qaem rahun 'shakeb'-ayaz
wo apni pyas bujhae bura-bhala kah kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close