lazim hai soz-e-ishq ka shola ayan na ho

lazim hai soz-e-ishq ka shola ayan na ho
jal-bujhiye is tarah se ki mutlaq dhuan na ho

zakhm-e-jigar ka wa kisi surat wahan na ho
paikan-e-yar is mein jo shakl-e-zaban na ho

allah re be-hisi ki jo dariya mein gharq hon
talab ki tarah kabhi pani rawan na ho

gul khanda-zan hai chahchahe karti hai andalib
phaili hui chaman mein kahin zafaran na ho

bhago yahan se ye dil-e-nalan ki hai sada
bahke ho yaro ye jaras-e-karwan na ho

hasti adam se hai meri wahshat ki ek shalang
ai zulf-e-yar panw ki tu bediyan na ho

lena bajae fatiha turbat pe nam-e-yar
marne pe ye khayal hai wo bad-guman na ho

naqa chala hai najd mein laila ka be-mahaar
majnun ki ban padegi agar sar-ban na ho

chaalon se charkh ki ye mera azm hai 'surur'
is sarzamin pe jaun jahan aasman na ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close