lene lage jo chuTki yak-bar baiThe baiThe

lene lage jo chutki yak-bar baithe baithe
ye chhed kya nikali ai yar baithe baithe

kal wada-gah mein jab wo bewafa na aaya
ukta ke uth gae hum na-chaar baithe baithe

jo kuchh padha hai hum ne hum aaphi-ap us ki
ghar mein kiya karen hain takrar baithe baithe

hum ne to us ko hargiz yaro kaha na tha kuchh
kuchh yunhi ho gaya wo bezar baithe baithe

tujh bin to hum ne we bhi ba-khamoshi ada kin
yaad aaian jo baaten do-chaar baithe baithe

ai 'mushafi' unhin mein sanat nahin kuchh apni
likh dale hum ne kal ye ashaar baithe baithe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close