likh de aamil koi aisa tawiz yar ho jae gale ka tawiz kab musakhkhar ye hasin hote hain sab ye be-kar hai ganda-tawiz na hua yar ka ghussa thanda bar-ha dho ke pilaya tawiz sar se gesu ki bala jati hai lae to radd-e-bala ka tawiz mar ke bhi dil ki tadap itni hai shaq hua meri lahad ka tawiz har tarah hoti hai mayusi jab log karte hain dua ya tawiz aarzu khak mein dushman ki mile is liye dafn kiya tha tawiz hath se apne jo likkha us ne hum ne us khat ko banaya tawiz jis se aaya hua dil ruk jae koi aisa bhi hai latka tawiz dil pasija na kisi din un ka roz likh likh ke jalaya tawiz kaam lo jazb-e-mohabbat se 'hafiz' naqsh kya chiz hai kaisa tawiz