main apne suraj ke sath zinda rahunga to ye KHabar milegi

main apne suraj ke sath zinda rahunga to ye khabar milegi
gulab kis shakh par khilega charagh ki lau kahan rukegi

main zina-e-khwab se utar kar sahar talak aa to jaun lekin
ye sham mujh par ayan na hogi ye shab mujhe rasta na degi

jo rang mujh mein sanwar rahe the wo sham hote hi kho gae hain
jo shama mere wajud mein jal rahi hai kis subh tak jalegi

sahar hui to meri thakan se nidhaal aankhon ke thamne ko
ye nur kis samt mein dhalega ye chhanw kis or se badhegi

main ek nizam-e-kohan ke narghe mein sans le kar bhi sochta hun
ki subh kaise tulua hogi ki sham kis rang mein dhalegi

main apne ham-rah ek duniya ko le ke jab chal padunga 'sajid'
zamin pani ke narm dhaare pe kya yunhi ghumti rahegi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close