main ek kanch ka paikar wo shakhs patthar tha so pash pash to hona mera muqaddar tha tamam raat sahar ki duaen mangi thin khuli jo aankh to suraj hamare sar par tha charagh-e-rah-e-mohabbat hi ban gae hote tamam umr ka jalna agar muqaddar tha fasil-e-shahr pe kitne charagh the raushan siyah raat ka pahra dilon ke andar tha agarche khana-badoshi hai khushbuon ka mizaj mera makan to kal raat bhi moattar tha samundaron ke safar mein wo pyas ka aalam ki farsh-e-ab pe ek karbala ka manzar tha isi sabab to badha e'tibar-e-laghzish-e-pa hamara josh-e-junun aagahi ka rahbar tha jo mahtab hisar-e-shab-e-siyah mein hai kabhi wo raat ke sine pe misl-e-khanjar tha main us zamin ke liye phul chun raha hun 'rais' mera nasib jahan be-aman samundar tha