main kaun hun ai ham-nafasan soKHta-jaan hun

main kaun hun ai ham-nafasan sokhta-jaan hun
ek aag mere dil mein hai jo shoala-fishan hun

laya hai mera shauq mujhe parde se bahar
main warna wahi khalwati-e-raaz-e-nihan hun

jalwa hai mujhi se lab-e-dariya-e-sukhan par
sad-rang meri mauj hai main tab-e-rawan hun

panja hai mera panja-e-khurshid main har subh
main shana-sifat saya-e-ru zulf-e-butan hun

dekha hai mujhe jin ne so diwana hai mera
main bais-e-ashuftagi-e-tab-e-jahan hun

taklif na kar aah mujhe jumbish-e-lab ki
main sad sukhan-aghushta-ba-khun zer-e-zaban hun

hun zard gham-e-taza-nihaalan-e-chaman se
us bagh-e-khizan-dida mein main barg-e-khizan hun

rakhti hai mujhe khwahish-e-dil bas-ki pareshan
darpai na ho is waqt khuda jaane kahan hun

ek wahm nahin besh meri hasti-e-mauhum
us par bhi teri khatir-e-nazuk pe garan hun

khush-bashi-o-tanziya-o-taqaddus the mujhe 'mir'
asbab pade yun ki kai roz se yan hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close