main to maqtal mein bhi qismat ka sikandar nikla

main to maqtal mein bhi qismat ka sikandar nikla
qura-e-fal mere nam ka aksar nikla

tha jinhen zoam wo dariya bhi mujhi mein dube
main ki sahra nazar aata tha samundar nikla

main ne us jaan-e-bahaaran ko bahut yaad kiya
jab koi phul meri shakh-e-hunar par nikla

shahr-walon ki mohabbat ka main qael hun magar
main ne jis hath ko chuma wahi khanjar nikla

tu yahin haar gaya hai mere buzdil dushman
mujh se tanha ke muqabil tera lashkar nikla

main ki sahra-e-mohabbat ka musafir tha 'faraaz'
ek jhonka tha ki khushbu ke safar par nikla


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close