main zamane mein hun lekin ye zamana tera

main zamane mein hun lekin ye zamana tera
hath mera hai lutata hai khazana tera

tir tera hai kaman teri nishana tera
dam mera hai tah-e-dam hai dana tera

daere sab ne aqaed ke bana rakkhe hain
warna makhsus nahin koi thikana tera

jo bhi sunta hai wo unwan naya deta hai
gasht karta hai zamane mein fasana tera

tez chalti rahi tanqid-o-siyasat ki hawa
gard-alud hawa aaina-khana tera

ham-nawa kis ko banaun kise hamraaz karun
main akela hun zamane ka zamana tera


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close