manzaron ki bhiD aisi to kabhi dekhi na thi

manzaron ki bhid aisi to kabhi dekhi na thi
ganw achchha tha magar us mein koi ladki na thi

ruh ke andar khala hai ye mujhe malum tha
khokhla hai jism bhi is ki khabar pahunchi na thi

hath thama hai sada ke waste waise magar
sath us ka chhodne mein kuchh burai bhi na thi

un dinon bhi dard ka saya mere ham-rah tha
jab dhuan ban kar wo mere zehn par chhai na thi

jazb ho jaane ka qissa khud se bhi mansub kar
bhul meri thi agar tu bhi koi dewi na thi

rang pakka ho chala tha yaad aata hai magar
dhup mere jism par tab thik se bhigi na thi

khwahishon ka wo jazira bhi to aakhir bah gaya
khauf-o-khatra ki jahan par koi aabaadi na thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close