mariz-e-ishq ki juz-marg duniya mein dawa kyun ho

mariz-e-ishq ki juz-marg duniya mein dawa kyun ho
agar jaan ho aziz apni to jaanan par fida kyun ho

uthe jo aag sine se daba dun us ko ashkon se
shab-e-hijran mein nala se mera lab aashna kyun ho

milo khalwat mein aur do tum mujhe dars-e-shakebai
karam tum mein na ho to dil mera sabr-azma kyun ho

chale jab tak zaban jari ho us par dastan-e-gham
tawanai tere bimar ki sarf-e-dua kyun ho

bhala tu aur ghar aae mere kyun-kar yaqin kar lun
takhayyul kyun na ho mera teri aawaz-e-pa kyun ho

agar bakht-e-rasa ne rahbari ki teri khalwat tak
to phir dast-e-tamanna rehn-e-daman-e-qaba kyun ho

mere khun aur hina mein der se baham raqabat hai
na ho gar rang-e-khun pa mein to phir rang-e-hina kyun ho

qayamat ek din aai hai is mein shak nahin 'shaida'
khada ho bazm se jab wo qayamat phir bapa kyun ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close