mazaq-e-gham udana ab mujhe achchha nahin lagta kisi ka muskurana ab mujhe achchha nahin lagta kabhi ninden churana jin ki mujh ko achchha lagta tha nazar un ka churana ab mujhe achchha nahin lagta jinhen mujh par yaqin hai meri chahat par bharosa hai bharam un ka mitana ab mujhe achchha nahin lagta nasheman mere dil ka jab se tinka tinka bikhra hai koi bhi aashiyana ab mujhe achchha nahin lagta mohabbat karne walon ne jo chhode hain zamane mein nishan un ke mitana ab mujhe achchha nahin lagta teri duniya se shayad bhar chuka hai mera dil 'sahil' yahan ka aab-o-dana ab mujhe achchha nahin lagta