meri khamoshi hi kaam aai kaha jata hai is ko andaz-e-shakebai kaha jata hai bhid mein ek badan aap se manus na ho bas yahi waqia tanhai kaha jata hai teri jaanib se jo hote hain ishaare un ko ishq mein hausla-afzai kaha jata hai meri wahshat ne andhere mein use dhundh liya ab usi tab ko binai kaha jata hai tere aariz ko jo aati hain hawaen chhu kar un ko is des mein purwai kaha jata hai kah diya tha mere jis lahje ko duniya ne fuzul ab wahi sher ki gahrai kaha jata hai lafz-arai ka to mujh mein hunar hai lekin mujh ko aati nahin goyai kaha jata hai