meri nigah mein yar main us ki nigah mein zarre mein mahtab hai zarra hai mah mein dil mein hai dud aah to dil dud-e-ah mein abr-e-siyah ghar mein ghar abr-e-siyah mein aisa kiya hai fauj-e-hawadis ka samna hairat mein hai sipah to hairat sipah mein phaili hui hai zulf ki chhai hui ghata abr-e-siyah tum mein tum abr-e-siyah mein gham mein khushi hai aur khushi mein nihan hai gham muzmar hai aah wah mein aur wah aah mein kya dekhta hai mujh ko sarapa hun chashm-e-shauq meri nigah tujh pe tu meri nigah mein ashshaikh waqt kya ye hamara qusur hai lazzat mein hai gunah to lazzat gunah mein meri nazar mein tum ho tumhaari nazar mein main meri nigah mein tum main tumhaari nigah mein shikwe mein shukr shukr mein shikwa mila hua ye aah meri rah mein aur wah aah mein main us ka said-e-husn wo mera shikar-e-ishq us ki nigah mujh pe wo meri nigah mein dil tum mein aur dil mein tum allah re nasib shah maskan-e-gada mein gada qasr-e-shah mein dil bazm-e-yar mein hai to dil mein hai bazm-e-yar mujh mein hai jalwa-gah to main jalwa-gah mein sar aur kulah donon 'sakha' be-sabaat hain dam mein kulah sar pe na sar hai kulah mein