mitti jab tak nam rahti hai khushbu taza-dam rahti hai apni rau mein mast o ghazal-khwan mauj-e-hawa-e-gham rahti hai un jhil si gahri aankhon mein ek lahar si har dam rahti hai har saz juda kyun hota hai kyun sangat baham rahti hai kyun aangan tedha lagta hai kyun payal barham rahti hai ab aise sarkash qamat par kyun tegh-e-mizha kham rahti hai kyun aap pareshan rahte hain kyun aankh 'rasa' nam rahti hai