mizaj-e-ishq ko jis ne qalandarana kiya kalam jis se kiya us ne aarifana kiya sitam ki dhup ne ye kar-e-moajizana kiya hamari rah mein shafqat ka shamiyana kiya wo jis ne dil pe mere war-e-qatilana kiya usi ko main ne kabhi jaan se juda na kiya wo ek darakht jahan sanp ka basera hai kisi parinde ne kab us pe aashiyana kiya sawal puchhne walo suno bataun main charagh-e-dil se munawwar gharib-khana kiya isi zamin se nisbat thi hum parindon ko isi zamin ki mitti ko aab-o-dana kiya hamare khun ki fitrat mein hai wafadari so hum ne jis se kiya pyar mukhlisana kiya aziz-tar jise rakkha sanbhaal kar dil mein suluk us ne bahut hum se baghiyana kiya khushi ke sath nikalta hai ghar se kaun 'ashhar' zaruraton ne safar par hamein rawana kiya