mohabbat jag utthi rag rag mein armanon ko nind aai haqiqat ne naqab ulti to afsanon ko nind aai chhalakti hi rahi mai daur chalta hi raha lekin ruki gardish un aankhon ki to paimanon ko nind aai bichhe the phul bhi har mod par fasl-e-bahaaran mein magar i to kanton par hi diwanon ko nind aai sar-e-mahfil raha ek ratjage ka sa saman shab bhar palak jhapki na shamon ki na parwanon ko nind aai tajalli thi na tabani tasawwur tha na partaw tha tere jate hi sare aaina-khanon ko nind aai mohabbat thi farozan dard ka ehsas tha jab tak hui insaniyat rukhsat to insanon ko nind aai shab hijran ka sannata hai tari band hain aankhen ye maut i ki tere sokhta-jaanon ko nind aai musalsal ishq mein aalam raha shab-zinda-dari ka sar-e-maqtal pahunch kar tere diwanon ko nind aai ghani hai kis qadar chhanw 'ziya' kufr-e-mohabbat ki magar is chhanw mein kitne hi imanon ko nind aai