muddai khush ki hai wo mard yagana paida aur hamein chah kare hum sa zamana paida har fasane mein haqiqat ka koi shaiba hai har haqiqat se bil-akhir hai fasana paida har jawan-qalb kisi shokh-nazar ki zad mein ye wo nakhchir kare aap nishana paida aankh ke wasf se bhi husn numayan hai magar ishq ke dam se to hai aaina-khana paida ho muqaddar mein agar husn-e-tabiat ka sila aap kar lete hain haalat bahana paida tair-e-shauq-e-huma wo jo kare baal kusha ho bayaban-e-laq-o-daq mein khazana paida