mujhe taslim be-chun-o-chura tu haq-ba-jaanib tha

mujhe taslim be-chun-o-chura tu haq-ba-jaanib tha
mere anfas par lekin ajab pindar ghaalib tha

wagarna jo hua us se siwae ranj kya hasil
magar han maslahat ki rau se dekhen to munasib tha

main tere baad jis se bhi mila tikha rakha lahja
ki is be-laus chahat ke ewaz itna to wajib tha

main kuchh puchhun bhi to akasr jawaban kuchh nahin kahta
guzishta ek arse se jo bas mujh se mukhatib tha

main umr-e-rafta ki bazi se itna hi samajhta hun
shikast o fath do harf-e-izafi khel jalib tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close