mujhko na-karda gunah ka motarif hona paDa

mujh ko na-karda gunah ka mo'tarif hona pada
rasm aisi thi ki khud se munharif hona pada

koi bhi mujh sa na tha bebak bazm-e-shauq mein
is tarah mujh ko sabhon se mukhtalif hona pada

ek hi shai thi ki jis par bach raha tha e'timad
pas mujhe apni ana se muttasif hona pada

wo yaqinan raaz-andar-raaz tha lekin use
ek din mujh na-tawan par munkashif hona pada

kya bataun mabad-e-tanhai mein mujh rind ko
umr-bhar ke waste kyun moatakif hona pada


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close