na aana tha na aaya aane wala

na aana tha na aaya aane wala
gaya duniya se aakhir jaane wala

chhupao lakh tum apne ko lekin
tumhein pa kar rahega pane wala

mohabbat ko samajh se wasta kya
kaho ab chup rahe samjhane wala

yahan be-sud hai zikr-e-gham-e-dil
yahan koi nahin gham khane wala

mujhe to hai gharaz insaniyat se
haram wala ho ya but-khane wala

samajhne wala ab koi nahin hai
jise dekho wo hai samjhane wala

hazaron milte hain gham dene wale
koi milta nahin gham khane wala

sabhi ka tum to gham khate ho 'asi'
tumhaara kaun hai gham khane wala


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close