na jaane sham ne kya kah diya sawere se ujale hath milane lage andhere se shajar ke hisse mein bas rah gai hai tanhai har ek parinda rawana hua basere se jo us ki bin ki dhun par hua hai raqs-andaz thani rahi hai usi sanp ki sapere se abhi ye raushni chubhti hui hai aankhon mein abhi hum uth ke chale aae hain andhere se tumhaara shahr-e-nigaran to khub hai 'azhar' bacha ke lae hain dil aarzu ke ghere se