na kam hua hai na ho soz-e-iztirab-e-durun

na kam hua hai na ho soz-e-iztirab-e-durun
tere qarib rahun main ki tujh se dur rahun

kahin koi tera mahram hai ai dil-e-mahzun
mujhe bata ki kidhar jaun kis se baat karun

teri nazar ne bahut kuchh sikha diya dil ko
kuchh itna sahl na tha warna karobar-e-junun

pukarti hain mujhe wusaten do-alam ki
main apne aap se daman chhuda sakun to chalun

teri wafa na mujhe ras aa saki lekin
main sochta hun tujhe kaise bewafa kah dun

meri shikasta-dili ka na kar khayal itna
kahin na main tere khwabon mein talkhiyan bhar dun

giraft-e-asr-e-rawan is qadar to mohlat de
ki mit rahi hai jo duniya use main dekh to lun

ye kis khayal ne ki hai meri zaban-bandi
tujhi se kahne ki baaten tujhi se kah na sakun

wo iztirab-talab tha kisi tawaqqo par
ab uth chuki hai tawaqqo ab aa chala hai sukun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close