na koi dost dushman ho sharik-dard-o-gham mera

na koi dost dushman ho sharik-dard-o-gham mera
salamat meri gardan par rahe bar-e-alam mera

likha ye dawar-e-mahshar ne meri fard-e-isyan par
ye wo banda hai jis par naz karta hai karam mera

kaha ghuncha ne hans kar wah kya nairang-e-alam hai
wajud gul jise samjhe hain sab hai wo adam mera

kashakash hai ummid-o-yas ki ye zindagi kya hai
ilahi aisi hasti se to achchha tha adam mera

dil-e-ahbab mein ghar hai shagufta rahti hai khatir
yahi jannat hai meri aur yahi bagh-e-iram mera

mujhe ahbab ki pursish ki ghairat mar dalegi
qayamat hai agar ifsha hua raaz-e-alam mera

khadi thin rasta roke hue lakhon tamannaen
shahid-e-yas hun nikla hai kis mushkil se dam mera

khuda ne ilm bakhsha hai adab ahbab karte hain
yahi daulat hai meri aur yahi jah-o-hasham mera

zaban-e-haal se ye lucknow ki khak kahti hai
mitaya gardish-e-aflak ne jah-o-hasham mera

kiya hai fash parda kufr-o-din ka is qadar main ne
ki dushman hai barhaman aur adu shaikh-e-haram mera


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close