na puchh martaba-o-shan-e-KHak-dan-e-majaz

na puchh martaba-o-shan-e-khak-dan-e-majaz
zamin-e-arsh se uncha hai aasman-e-majaz

ye khub jaante hain jo hain raaz-dan-e-majaz
zaban ahal-e-haqiqat ki hai zaban-e-majaz

hudud-e-arsh-o-azal marhalat-e-hashr-o-abad
hain sab ye silsila-e-sharh-e-dastan-e-majaz

ye raaz ahl-e-khirad se magar nahin makhfi
ki khud zaban-e-haqiqat hai tarjuman-e-majaz

nigah ahl-e-nazar ki bhi ho gai majbur
hazar parda-e-hairat hain darmiyan-e-majaz

wajud kya ki adam ka bhi e'tibar nahin
kahan rukega khuda jaane karwan-e-majaz

rumuz-e-khas yahan tak hue hain fash ki ab
haqiqaton pe bhi aksar ko hai guman-e-majaz


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close