na-tawan wo hun nigahon mein sama hi na sakun bharun aankhon mein nazar sa nazar aa hi na sakun dil jalana hai to ai mehr jala misl-e-kabab dagh kuchh mohr nahin hai jo utha hi na sakun tah-e-shamshir-e-do-dam khush hun ye shishe ki tarah ek dam sang-dilon se main bana hi na sakun ham-nashin yar ho kya ye hai nasibon mein firaq jod aaza ke bhi ukhden to bitha hi na sakun khud faramosh hun aisa ki dil-e-be-khud se yaad us but ki bhulaun to bhula hi na sakun khama sa hai azali sina-figari meri zakhm-e-dil lakh silaun pa sila hi na sakun dastaras kakul-e-khamdar ye hona hi muhaal ye wo nagan hai jo hathon pe khila hi na sakun naznin ye hai ki ai 'shad' nazar-bazon ko kamar us ki jo dikhaun to dikha hi na sakun