nahin ye aks hua hai samajhta kyun nahin main

nahin ye aks hua hai samajhta kyun nahin main
mere qarib khada hai samajhta kyun nahin main

ye chiz aur nahin koi mera saya hai
magar ye mujh se juda hai samajhta kyun nahin main

ye koi pahlu mera hai jo zat se meri
kai dinon se juda hai samajhta kyun nahin main

jahan pe jism ki diwar mein shigaf pada
wahin se sabza uga hai samajhta kyun nahin main

tumhaari aankh se main apne khwab dekhta hun
yahi to meri saza hai samajhta kyun nahin main

phisalti ret pe fihrist-e-khwab likhni hai
ye imtihan kada hai samajhta kyun nahin main

dhuan hun puchhta hun wo gaya hai shoale par
ki shoala us pe gaya hai samajhta kyun nahin main

tum apne-ap se kyun ikhtilaf karte ho
'shafaq' moamla kya hai samajhta kyun nahin main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close