naqsh daur-e-mazi ke zehn mein ubharte hain

naqsh daur-e-mazi ke zehn mein ubharte hain
bhuli-bisri rahon se jab kabhi guzarte hain

ang ang hansta hai zawiye nikharte hain
jab wo muskuraate hain jab wo baat karte hain

hum unhin pe jaan-o-dil bhi nisar karte hain
apna haal-e-dil jin se arz karte darte hain

is qadar na hota zan aarzi bulandi par
udne wale tair ke baal-o-par katarte hain

nashsha-e-jawani mein udte hain hawaon par
aasman se niche kab wo panw dharte hain

mehr-o-mah ki gardish mein dhundhte hain qismat ko
apni apni karti par kam nigah karte hain

jaur-o-jabr ka un ka silsila nahin tuta
go wafaon ke hum ne sab usul barte hain

kuchh sukun deti hain badliyan umidon ki
yas-o-huzn ke tufan sar se jab guzarte hain

'mauj' bahr-e-ulfat mein lazmi hain ghawwasi
gharq hone wale hi par bhi utarte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close