nasim-e-subh gulshan mein gulon se khelti hogi

nasim-e-subh gulshan mein gulon se khelti hogi
kisi ki aakhiri hichki kisi ki dil-lagi hogi

tujhe danista mahfil mein jo dekha ho to mujrim hun
nazar aakhir nazar hai be-irada uth gai hogi

maza aa jaega mahshar mein kuchh sunne sunane ka
zaban hogi hamari aur kahani aap ki hogi

yahi aalam raha parda-nashini ka to zahir hai
khudai aap se hogi na hum se bandagi hogi

tajjub kya lagi jo aag ai 'simab' sine mein
hazaron dil mein angare bhare the lag gai hogi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close