nazar azabon mein ghir gai hai suKHan sarabon mein aa gaya hai

nazar azabon mein ghir gai hai sukhan sarabon mein aa gaya hai
suna hai ab ke bahaar-mausam khizan ki baaton mein aa gaya hai

ye kya ghazab hai ki jis ne ahd-e-bahaar chaha na ishq dekha
nizam-e-hijr-o-visal sara usi ke hathon mein aa gaya hai

bahaar to ek mughaalta hai khizan ki ru-posh hairaton ka
jo is tilism-e-jahan se guzra wo dastanon mein aa gaya hai

wo jis ke daman mein shaeri thi bahaar-lahje ki lut-luta kar
ai rabb-e-lafz-o-bayan wo shaer teri panahon mein aa gaya hai

bahaar kya ab khizan bhi dekhe ghurur-e-husn-e-sukhanwari mein
jo aasmanon mein ja basa tha zamin ke qadmon mein aa gaya hai

bahaar-rut mein bichhad ke tujh se jo dil pe guzri wo dil hi jaane
hamein to itna pata hai yaro lahu tak aankhon mein aa gaya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close