nazar har shai ko har zarre ko apna dil samajhta hun isi diwangi ko hosh ka hasil samajhta hun duboya jazba-e-masum ki is khush-farebi ne mujhe dad-e-wafa denge sar-e-mahfil samajhta hun ilaj-e-dard kis kafir ko hai darkar chaaragar mohabbat ki amanat hai ise main dil samajhta hun tabiat ho gai hai is qadar khugar hawadis ki safina mauj ko tufan ko sahil samajhta hun bujha deta hun 'talib' apni aankhen us ki rahon mein kisi ahl-e-hunar ko jab bhi is qabil samajhta hun