nazar kisi ko wo mu-e-kamar nahin aata

nazar kisi ko wo mu-e-kamar nahin aata
ba-rang-e-tar-e-nazar hai nazar nahin aata

zamana-e-gham-e-furqat basar nahin aata
ajal bhi aati nahin yar agar nahin aata

hamesha hun bhi main rota ba-rang-e-shabnam-o-abr
gali se kaun tere chashm-tar nahin aata

ye hai nigah se dar-parda tegh-zan qatil
ki iltiyam ye zakhm-e-jigar nahin aata

gham-e-firaq mein mar mar ke roz jita hun
wo kaun shab hai jo munh tak jigar nahin aata

faqat na nam se chalta hai kaam duniya mein
ki zer-e-sikka kabhi gul ka zar nahin aata

wo lad ke milte nahin mil ke hum pakadte nahin
wo sulh karte nahin hum ko shar nahin aata

firaq-e-zulf mein roz uth ke shab ko rota hun
ki sar se gesu-e-shab ta-kamar nahin aata

wo shah-e-husn khafa hoe 'arsh' kahta hai
gira jo panw par kyun us ka sar nahin aata


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close