nazar pe baith gaya jo ghubar kis ka tha dilon se kam na hua jo sharar kis ka tha na koi shakl thi dil mein na lab pe nam koi tamam umr mujhe intizar kis ka tha mere liye to wo thahra na ek pal-bhar ko na jaane qafila-e-nau-bahaar kis ka tha ye kis ke husn se yaadon ki ban gai taswir dil-aine pe sunahra ghubar kis ka tha pade rahenge isi soch mein qayamat tak hamare baad dil-e-be-qarar kis ka tha khayal-o-khwab ki raaton se jo ubharta hai wo ek nur badan ka nikhaar kis ka tha wo adh-khula sa daricha wo chah ki khushbu mera nahin tha to phir intizar kis ka tha ye kis ne shor-e-salasil ko naghmagi de hi rah-e-wafa mein qadam bar bar kis ka tha tumhaare jabr ki taid tha mera mansha samajh mein aa na saka ikhtiyar kis ka tha ye kis liye su-e-gul bhi nigah jati thi tum aa chuke the to phir intizar kis ka tha meri wafa ka bagula to ek tha lekin mere siwa sar-e-sahra ghubar kis ka tha bahut dinon se yahi ek sawal hai dil mein jo main ne sab ko diya tha wo pyar kis ka tha 'munir' jab bhi chale koi rasta na mila wajud-e-rahguzar eatibar kis ka tha